Poet Zia Farooqui's ghazal: Tumhare jabr ki mee'aad kitne roz ki hai...
He stayed a long part of his life in Kanpur before he settled in Bhopal. He is known for his poetic craft, rich imagery and command over the language.
तुम्हारे जब्र की मीयाद कितने रोज़ की है
कि ये ख़िलाफ़त-ए-बग़दाद कितने रोज़ की है
तिलिस्म-ए-रौनक़-ए-शबेताब के असीर बता
फ़िज़ा-ए-जन्नत-ए-शद्दाद कितने रोज़ की है
हमारा इश्क़ तो है दाएमी क़यामत तक
मगर ये अक़्ल-ए-खुदादाद कितने रोज़ की है
मैं अपना हाल सुपुर्द ए क़लम करूँ कैसे
किसे बताऊँ कि रूदाद कितने रोज़ की है
किसे खबर है मेरे बाद इस आबाद खराबे में
किताब ए शिजरा-ए-अजदाद कितने रोज़ की है
है कितने रोज़ अभी इन्तशार का मौसम
अभी ज़मीं पे ये उफ़ताद कितने रोज़ की है
ज़िया फ़ारूक़ी
Now, read in Roman script:
tumhaare jabr ki mee'aad kitne roz ki hai
ke ye khilaafat-e-BaGhdaad kitne roz ki hai
Tilism-e-raunaq-e-shab-e-taab ke aseer bataa
fiza-e-jannat-e-Shadaad kitne roz ki hai
Hamara ishq to hai daa'emi qayaamat tak
magar ye aql-e-khuda-adaad kitne roz ki hai
main apna haal supurd-e-qalam karoo.n kaise
kise bataau.n ki roodaad kitne roz ki hai
kise khabar hai mere baad is aabaad-kharaabe mein
kitaab-e-shijra-e-ajdaad kitne roz ki hai
hai kitne roz abhi intishaar ka mausam
abhi zamii.n pe ye uftaad kitne roz ki hai
Zia Farooqui
Mini dictionary
Jabr=Oppression, force, violence, atrocity
Meeyaad=Period
Shaddad=King who built a city of gold and later received divine punishment
Shijra=Family tree. Shijra-e-Ajdaad ie. record of ancestors
Intishaar=Disturbance, Anarchy
Roodaad=Story, complete account
Uftaad=Trouble