BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Tuesday, September 12, 2017

Poet Abhishek Shukla's ghazal: Hone mein ya na hone mein mera bhi koi dakhal hai...

Abshishek Shukla is among the leading Urdu poets of his generation. His poetry has drawn attention from poetry aficionados.

Abhishek hails from Ghazipur. His family later shifted to Lucknow. A prolific writer, he is essentially a poet of ghazal. Read his ghazal in three different scripts:

मिटटी से मशविरा न कर, पानी का भी कहा न मान
ऐ आतिश-ए-दुरुं मेरी, पाबंदी-ए-हवा न मान

हर एक लुग़त से मावरा मैं  हूँ अजब मुहावरा
मेरी ज़बान में पढ़ मुझे, दुनिया का तर्जुमा न मान

होने में या न होने में मेरा भी कोई दखल है?
मैं हूँ ये उसका हुक्म है, इसको मेरी रज़ा न मान

टूटे हैं मुझ पे क़हर भी, मैंने पिया है ज़हर भी
मेरी ज़ुबाने तल्ख़ का इतना भी बुरा न मान

बस एक दीद भर का है, फिर तो ये वक़्फ़ए-हयात
उनके क़रीब जा मगर आँखों की इल्तिजा न मान

हर शाख ज़र्द ज़र्द है, हर फूल दर्द दर्द है
मुझ में ख़िज़ाँ मुक़ीम है, मुझको हरा भरा न मान

ज़ेब-ए-तन और कुछ नहीं, जुज़ तेरी आरज़ू के अब
तू भी मुहाल है तो फिर मुझ पर कोई क़बा न मान

अभिषेक शुक्ला 


Now read in Roman English transliteration:


miTTi se mashwiraa na kar paani ka bhi kahaa na maan
aye aatish e durooN meri, paabandi-e-hawaa na maan

har ek lughat se maavraa maiN huu.n ajab muhaavraa
meri zubaaN meiN padh mujhe, duniya ka tarjuma na maan

hone meiN ya na hone meiN mera bhi koi daKhal hai?
maiN hooN ye uskaa hukm hai, isko meri razaa na maan

TooTe haiN mujh pe qahr bhi, maiN ne piya hai zehr bhi
meri zubaan e talkh ka itnaa bhi ab buraa na maan

bas ek deed bhar ka hai phir to ye waqfa-e-hayaat
unke qareeb ja magar aankhoN ki iltejaa na maan

har shaakh zard zard hai, har phool dard dard hai
mujh meiN khizaaN muqeem hai, mujhko haraa bharaa na maan

zeb-e-tan aur kuchh nahiN, juz teri aarzoo ke ab
tu bhi muhaal hai to phir mujh par koi qabaa na maan

Abhishek Shukla

Popular Posts