BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Sunday, December 04, 2016

Wasi Shah's Urdu Nazm: Kaash main tere haseen hath ka kangan hota...


Wasi Shah is known for his romantic poetry, especially, ghazals.

Now, read his Nazm:

काश मैं तेरे हसीं हाथ का कंगन होता

तू बड़े प्यार से, चाव से, बड़े मान के साथ
अपनी नाज़ुक सी कलाई में चढ़ाती मुझको
और बेताबी से फुरक़त के खिजां लम्हों में
तू किसी सोच में डूबी जो घुमाती मुझको
मैं तेरे हाथ की खुशबू से महक सा जाता
जब कभी मूड में आकर मुझे चूमा करती
तेरे होंटों की मैं हिद्दत से दहक सा जाता

रात को जब भी तू नींदों के सफर पर जाती
मरमरीं हाथ का एक तकिया बनाया करती
मैं तेरे कान से लग कर कई बातें करता
तेरी ज़ुल्फ़ों को तेरे गाल को चूमा करता

जब भी तो बंद-ए-क़बा खोलने लगती जानां
अपनी आँखों को तेरे हुस्न से खैरा करता
मुझको बेताब रखता तेरी चाहत का नशा
मैं तेरी रूह के गुलशन में महकता रहता

मैं तेरे जिस्म के आँगन में खनकता रहता
कुछ नहीं तो यही बेनाम सा बंधन होता
काश मैं तेरे हाथ का कंगन होता

वसी शाह 

Now read the poetry in Roman English script:

kaash main tere hasee.n haath ka kangan hota
tuu baDe pyaar se, chaao se, baDe maan ke saath
apni naazuk si kalaai me.n chaRhaati mujhko
aur betaabi se furqat ke khizaa.n lamho.n mein
tu kisi soch mein Duubi jo ghumaati mujhko

mai.n tere haath ki khushbu se mahak sa jaata
jab kabhi mood mein aa kar mujhe chooma karti
tere honTo.n ki main hiddat se dahak sa jaata

raat ko jab bhi too neendo.n ke safar ar jaati
marmaree.n haath ka ek takia banaaya karti
mai.n tere kaan se lag kar kaii baateN karta
teri zulfo.n ko tere gaal ko chuuma karta

jab bhi to band-e-qabaa kholne lagti jaanaaN
apni aankho.n ko tere husn se Khaira karta
mujhko betaab rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein mahakta rahta

main tere jism ke aangan mein khanakta rahta
kuchh nahiiN to  yahi benaam se bandhan hota
kaash main tere haath ka kangan hota

Wasi Shah

Popular Posts