BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Saturday, August 20, 2016

Poet Zia Farooqui's ghazal: Meri aankhon mein jo thodi si nami rah gayi hai...

Eminent poet Zia Farooqui hails from Sandila, the famous town in Uttar Pradesh.

He stayed a long part of his life in Kanpur before he settled in Bhopal. He is known for his poetic craft, rich imagery and command over the language. Read his ghazal:

मेरी आँखों में जो थोड़ी सी नमी रह गयी है
बस यही इश्क़ की सौग़ात बची रह गयी है

वक़्त के साथ ही गुल हो गए वहशत के चराग़
एक स्याही है जो ताक़ों पे अभी रह गयी है

और कुछ देर ठहर ऐ मेरी बीनाई* कि मैं
देख लूँ रूह में जो बखिया-गरी रह गयी है

आईनो तुम ही कहो क्या है मेरे होंटों पर
लोग कहते हैं कि फीकी से हंसी रह गयी है

बोझ सूरज का तो मैं कब का उतार आया मगर
धूप जो सर पे धरी थी, सो धरी रह गयी है

यूं तो इस घर के दर-ओ-बाम सभी टूट गए
हाँ मगर बीच की दीवार अभी रह गयी है

ज़िया फ़ारूक़ी 

Read the ghazal in Roman English script:

meri aankho.n mein jo thoDi si nami rah gayi hai
bas yahi ishq ki saughaat bachi rah gayi hai

waqt ke saath hi gul ho gaye wahshat ke chiraagh
ek siyaahi hai jo taaqon pe abhi rah gayi hai

aur kuchh der thahar aye meri beenai ke main
dekh loo.n rooh mein jo bakhiya-gari rah gayi hai

aaiino.n tum hi kaho kya hai mere hon.Ton par
log kahte hai.n ki pheeki sii hansi rah gayi hai

bojh sooraj ka to main kab ka utaar aaya magar
dhoop jo sar pe dhari thi so dhari rah gayi hai

yuun to is ghar ke dar o baam sabhi toot gaye
haan magar beech ki diivaar abhi rah gayi hai

Zia Farooqui

Mini-dictionary:
beenaai=eyesight 

Popular Posts