BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Saturday, May 21, 2016

Poet Janisar Akhtar's famous ghazal: Ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain...



Eminent poet Janisar Akhtar was born in Gwalior in 1914. His father Muztar Khairabadi is a well-known classical poet.

Akhtar studied in AMU and also lived in Bhopal. He shifted to Mumbai and wrote lyrics for umpteen movies. Read his ghazal here:

अशआर मेरे यूं तो ज़माने के लिए हैं
कुछ शेर फ़क़त उनको सुनाने के लिए हैं

अब ये भी नहीं ठीक कि हर दर्द मिटा दें
कुछ दर्द कलेजे से लगाने के लिए हैं

आँखों में जो भर लोगे तो कांटे से चुभेंगे
ये ख्वाब तो पलकों पे सजाने के लिए हैं

देखूं तेरे हाथों को तो लगता है तेरे हाथ 
मंदिर में फ़क़त दीप जलाने के लिए हैं 

ये इल्म का सौदा, ये रिसाले, ये किताबें 
एक शख्स की यादों को भुलाने के लिए हैं 

जानिसार अख्तर 

Now, read in Roman English:

ash'aar mere yuuN to zamaane ke liye haiN
kuchh she'r faqat unko sunaane ke liye haiN

ab ye bhi nahiiN Theek ki har dard miTaa deN
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye haiN

aa.nkho.n mein jo bhar loge to kaa.nTe se chubhenge
ye Khwaab to palko.n pe sajaane ke liye haiN

dekhuuN tere haatho.n ko to lagta hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye haiN

ye ilm ka sauda, ye risaale, ye kitaabeN
ek shakhs ki yaado.n ko bhulaane ke liye haiN

Janisar Akhtar

Popular Posts