BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Monday, March 30, 2015

Eminent poet Bashir Badr's ghazal: Jo chhoR diya phir use muR kar nahiiN dekha...



Bashir Badr is among the generation of Urdu poets who made their mark on the literary scene in the decade of 1960s.

Badr was born in 1935. He studied at AMU, Aligarh. He lived in Meerut and later shifted to Bhopal, where he now resides. Bashir Badr has a long list of publications in his name.

Several of his poetry collections were printed in the devanagari script and this is a reason for his popularity among Hindi-knowing masses too.

Read his ghazal:

आँखों में रहा, दिल में उतर कर नहीं देखा 
कश्ती के मुसाफिर ने समंदर नहीं देखा 

बे-वक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे 
एक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा 

जिस दिन से चला हूँ मेरी पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा

महबूब का घर हो कि बुज़ुर्गों की ज़मीनेँ 
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा 

पत्थर मुझे कहता है मेरा चाहने वाला 
मैं मोम हूँ उसने मुझे छू कर नहीं देखा 

बशीर बद्र 



Now read the ghazal in Roman transliteration:

aa.nkhoN me.n rahaa, dil me.n utar kar nahiiN dekha
kashti ke musaafir ne samandar nahiiN dekhaa

be-waqt agar jaaungaa, sab chaunk paDenge
ek umr huii din me.n kabhii ghar nahiiN dekhaa

jis din se chalaa huuN meri manzil pe nazar hai
aaNkhoN ne kabhii meel ka patthar nahiiN dekhaa

mahbuub ka ghar ho ki buzurgo.n kii zamiineN
jo chhoR diyaa phir use muR kar nahiiN dekhaa

patthar mujhe kahtaa hai meraa chaahne waala
maiN mom huuN usne mujhe chhuu kar nahiiN dekhaa

Bashir Badar


Popular Posts