Amir Minai's famous Urdu ghazal: Aaj ki baat ko kyuN kal pe Uthaa rakha hai...
Amir Minai is one of the classical masters of Urdu poetry. A poet of Lucknow school of Poetry, he was the contemporary of Dagh Dehlvi.
Amir Minai is known for his perfection on the ghazal genre. He passed away in 1900. The 'matlaa' or the first couplet of this ghazal is oft-quoted.
Now read the Ghazal:
वस्ल हो जाए यहाँ, हश्र में क्या रखा है
आज की बात को क्यूँ कल पे उठा रखा है
[vasl=union, meeting of lovers] [hashr=afterlife, after death, day of judgment]
मोहतसिब पूछ न तू शीशे में क्या रखा है
पारसाई का लहू इसमें भरा रखा है
कहते हैं आये जवानी तो ये चोरी निकले
मेरे जोबन को लड़कपन ने चुरा रखा है
इस तगाफुल में सरगर्म-ए-सितम वोह आँखें
आप तो सोते हैं, फ़ितनों को जगा रखा है
आदमीज़ाद हैं दुनिया के हसीं, लेकिन अमीर
यार लोगों ने परी-ज़ाद बना रखा है
अमीर मीनाई
Now read the ghazal in Roman transliteration:
vasl* ho jaye yahaaN, hashr** meN kya rakha hai
aaj kii baat ko kyuuN kal pe uThaa rakha hai
mohtasib puuchh na tu shiishe meN kyaa rakha hai
paarsaaii ka lahuu ismeN bharaa rakhaa hai
kahte haiN aaye javaanii to ye chorii nikle
mere joban ko laRakpan ne churaa rakhaa hai
is taGhaaful meN bhii sargarm-e-sitam voh aaNkheN
aap to sote haiN, fitnoN ko jagaa rakhaa hai
aadmii-zaad haiN duniaa ke hasiiN, lekin Ameer
yaar logoN ne parii-zaad banaa rakhaa hai
Amir Minai
[Vasl or Wasl=union, meeting of lovers] [hashr=afterlife, after death, day of judgment]