Urdu poet Allama Iqbal's famous ghazal: SitaroN ke aage jahaan aur bhi haiN...
Iqbal, who is termed as Shayar-e-Mashriq or Poet of the East, passed away in 1938. Read his ghazal:
सितारों के आगे जहां और भी हैं
अभी इश्क के इम्तेहाँ और भी हैं
तू शाहीन* है परवाज़ है तेरा काम
तेरे सामने आसमाँ और भी हैं [*Shaheen=Eagle, poet exhorts that one should aim as high as the eagle's flight]
क़नाअत न कर आलम-ए-रंग-ओ-बू पर
चमन और भी, आशियाँ और भी हैं
[qanaa'at=satisfaction]
तहि जिंदगी से नहीं ये फिज़ाएं
यहाँ सैकड़ों कारवाँ और भी हैं
इसी रोज़-ओ-शब में उलझ कर न रह जा
कि तेरे ज़मान-ओ-मकाँ और भी हैं
गए दिन कि तनहा था मैं अंजुमन में
यहाँ अब मेरे राज़दां और भी हैं
इकबाल
Now read in Roman transliteration:
sitaaroN ke aagey jahaaN aur bhii haiN
abhii ishq ke imtehaaN aur bhii haiN
tuu ShaahiiN hai, parvaaz hai kaam teraa
tere saamne aasmaaN aur bhii haiN
qanaa'at na kar aalam-e-rang-o-buu par
chaman aur bhii, aashiyaaN aur bhii haiN
agar kho gayaaek nasheman to kya gham
muqamaat-e-aah-o-fughaaN aur bhii haiN
tahii zindagii se nahiiN ye fizaayeN
yahaaN saikDoN kaarvaaN aur bhii haiN
isii roz-o-shab meN ulajh kar na rah jaa
ki tere zamaaN-o-makaaN aur bhii haiN
gaye din ki tanhaa thaa maiN anjuman meN
yahaaN ab mere raazdaaN aur bhii haiN
Iqbal