Jaise tumhein hamne chaaha hai, kaun bhala chahega: Obaidullah Aleem's ghazal
Obaidullah Aleem belonged to the generation of post-partition poets. Born in Bhopal, Aleem's family had settled in Pakistan. He went on to attain immense popularity for his unique style.
Read his ghazal:
तेरे प्यार में रुसवा होकर जाएँ कहाँ दीवाने लोग
जाने क्या क्या पूछ रहे हैं यह जाने पहचाने लोग
हर लम्हा एहसास की सहबा रूह में ढलती जाती है
जीस्त का नशा कुछ कम हो तो हो आयें मैखाने लोग
जैसे तुम्हें हमने चाहा है कौन भला यूं चाहेगा
माना और बोहत आयेंगे तुमसे प्यार जताने लोग
यूं गलियों बाज़ारों में आवारा फिरते रहते हैं
जैसे इस दुन्या में सभी आए हों उम्र गंवाने लोग
आगे पीछे दायें बाएँ साए से लहराते हैं
दुन्या भी तो दश्त-ऐ-बला है हम ही नहीं दीवाने लोग
कैसे दुखों के मौसम आए कैसी आग लगी यारो
अब सहराओं से लाते हैं फूलों के नजराने लोग
कल मातम बे-कीमत होगा, आज इनकी तौकीर करो
देखो खून-ऐ-जिगर से क्या क्या लिखते हैं अफ़साने लोग
उबैदुल्लाह अलीम
tere pyaar meN ruswaa hokar jaayeN kahaaN diivane log
jaane kyaa kyaa puuchh rahe haiN yah jaane pahchaane log
har lamhaa ehsaas ki sahbaa ruuh meN Dhaltii jaatii hai
ziist ka nasha kuchh kam ho to ho aayeN maikhaane log
jaise tumheN hamne chaahaa hai kaun bhalaa yuuN chaahegaa
maanaa aur bohat aayenge tumse pyaar jataane log
yuuN galiyoN baazaaroN meN aavaaraa phirte rahte haiN
jaise is dunyaa meN sabhii aaye hoN umr gaNvaane log
aage piichhe daayeN baayeN saaye se lahraate haiN
dunyaa bhii to dasht-e-balaa hai ham hii nahiiN diivaane log
kaise dukhoN ke mausam aaye kaisii aag lagii yaaro
ab sahraaoN se laate haiN phuuloN ke nazraane log
kal maatam be-qiimat hogaa, aaj inkii tauqiir karo
dekho khuun-e-jigar se kyaa kyaa likhte haiN afsaane log
Ubaidullah Aleem