Qateel Shifai's ghazal: Ek nai surat bana lete haiN log...
Aurangzeb Khan, whose pen name was Qateel Shifai, was born in Hazara in undivided India in 1919. His poetry was equally popular on both sides of the border.
Qateel's lyrics were also used in the movies. He passed away in 2001. Read his famous ghazal:
जब भी चाहें एक नई सूरत बना लेते हैं लोग
एक चेहरे पर कई चेहरे सजा लेते हैं लोग
मिल भी लेते हैं गले से अपने मतलब के लिए
आ पड़े मुश्किल तो नज़रें भी चुरा लेते हैं लोग
है बजा उनकी शिकायत लेकिन इसका क्या इलाज
बिजलियाँ खुद अपने गुलशन पर गिरा लेते हैं लोग
हो खुशी भी उनको हासिल ये ज़रूरी तो नहीं
गम छुपाने के लिए भी मुस्कुरा लेते हैं लोग
ये भी देखा है कि जब आ जाये गैरत का मुकाम
अपनी सूली अपने काँधे पर उठा लेते हैं लोग
क़तील शिफाई
Now read the Roman English transliteration:
jab bhii chaaheN ek nahiiN suurat banaa lete haiN log
ek chehre par kaii chehre sajaa lete haiN log
mil bhii lete haiN gale se apne matlab ke liye
aa paDe mushkil to nazreN bhii churaa lete haiN log
hai bajaa unkii shikaayat lekin iskaa kyaa ilaaj
bijliyaaN Khud apne gulshan par giraa lete haiN log
ho Khushii bhii unko haasil ye zaruuri to nahiiN
Gam chhupaane ke liye bhii muskuraa lete haiN log
ye bhii dekhaa hai ki jab aa jaaye Gairat ka muqaam
apnii suulii apne kaandhe par uThaa lete haiN log
Qateel Shifai