BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Monday, February 04, 2008

Ibrahim Ashk's ghazal: Tere shahar mein ek diwana bhi hai...


Ibrahim Ashk hails from Badnagar in Madhya Pradesh. He graduated from Indore. Ashk initially  served as editorial advisor with Urdu magazine Shama.

He has several collections of poetry to his credit apart. Ashk is also a critic. He has written lyrics for Bollywood movies. Read his ghazal:

तेरे शहर में एक दीवाना भी है
जो सब के सितम का निशाना भी है

बड़ा सिलसिला है खुदा से मेरा
फलक पे मेरा आना जाना भी है

है मकसद तो अपनी ही तक्मील का
मोहब्बत यह तेरी बहाना भी है

रवायत है आदम से यह इश्क़ की
यह सौदा बोहत ही पुराना भी है

भटकते हैं आवारा गलियों में हम
कहीं आशिकों का ठिकाना भी है

मुसलसल सफर मैं ही अपनी हयात
यहाँ से कहीं लौट जाना भी है

मिले वोः तो कुछ हाल-ए-दिल हम कहें
आज मौसम सुहाना भी है

कही है ग़ज़ल हमने उसके लिए
यह अश्क जिस से छुपाना भी है

इब्राहीम अश्क

Read the ghazal in Roman script:

tere shahar meN ek divaana bhii hai
jo sab ke sitam ka nishaana bhii hai

baDaa silsilaa hai Khudaa se meraa
falak pe meraa aanaa jaanaa bhii hai

hai maqsad to apnii hii takmiil kaa
mohabbat yah terii bahaanaa bhii hai

ravaayat hai aadam se yah ishq kii
yah saudaa bohat hii puraanaa bhii hai

bhaTakte haiN aavaaraa galiyoN meN ham
kahiN aashiqoN kaa Thikaanaa bhii hai

musalsal safar meN hai apnii hayaat
yahaaN se kahiiN lauT jaanaa bhii hai

mile voh to kuchh haal-e-dil ham kaheN
bohat aaj mausam suhaanaa bhii है

kahii hai Gazal hamne uske liye
ki yah ashk jis se chhupaanaa bhii hai

Ibrahim Ashk

Popular Posts