BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Friday, August 10, 2007

Zafar Iqbal's ghazal: Yeh jurm hai to is jurm ki sazaa rakhna...


Zafar Iqbal is one of the most respected names in Urdu poetry. He is a modernist poet who has experimented with language, often evoking rage from purists. He lives in Pakistan. Read his ghazal:

नहीं कि मिलने मिलाने का सिलसिला रखना
किसी भी सतह पे कोई तो राब्ता* रखना

मरेंगे लोग हमारे सिवा भी तुम पे बोहत
यह जुर्म है तो फिर इस जुर्म की सज़ा रखना

मदद की तुम से तवक्को* तो खैर क्या होगी
गरीब-ए-शहर-ए-सितम हूँ मेरा पता रखना

बस एक शाम हमें चाहिए न पूछना क्यूँ
यह बात और किसी शाम पे उठा रखना

नए सफ़र पे रवाना हुआ हूँ अज़-सर-ए-नौ
जब आऊंगा तो मेरा नाम भी नया रखना

फसील-ए-शौक़ उठाना ज़फर ज़रूर मगर
किसी तरफ से निकलने का रास्ता रखना

ज़फर इकबाल

Now read the same ghazal in Roman transliteration:

nahiiN ki milne milaane ka silsilaa rakhnaa
kisii bhii satah pe koii to raabtaa rakhnaa

mareNge log hamaare sivaa bhii tum pe bohat
yah jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhnaa

madad kii tum se tavaqqo to khair kyaa hogii
Gariib-e-shahar-e-sitam huuN meraa pataa rakhnaa

bas ek shaam hameN chaahiye na puuchhnaa kyuuN
yah baat aur kisii shaa pe uThaa rakhnaa

naye safar pe ravaanaa huaa huuN az-sar-e-nau
jab aauuNgaa to meraa naam bhii nayaa rakhnaa

fasiil-e-shauq uThaanaa Zafar zaruur magar
kissi taraf se nikalne kaa raastaa rakhnaa

Zafar Iqbal

Mini-dictionary
raabta=contact, ताल्लुक
tavaqqo=expectation, उम्मीद

Popular Posts