BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Monday, June 18, 2007

Nooh Narvi's ghazal: Jab tabiyat kisi pe aati hai...


Nooh Narvi hailed from Nara town in Uttar Pradesh. He is considered an important poet in Urdu literature. He wrote poetry in classical style.

Read his ghazal:

आप जिनके करीब होते हैं
वोह बडे खुश-नसीब होते हैं

जब तबियत किसी पे आती है
मौत के दिन करीब होते हैं

मुझ से मिलना, फिर आपका मिलना
आप किस को नसीब होते हैं

ज़ुल्म सह कर जो उफ़ नहीं करते
उनके दिल भी अजीब होते हैं

इश्क़ में और कुछ नहीं मिलता
सैकड़ों गम नसीब होते हैं

नूह की कद्र कोई क्या जाने
कहीं ऐसे अदीब होते हैं

नूह नारवी

Now read the ghazal in Roman script:

aap jinke qariib hote haiN
voh baDe khush-nasiib hote haiN

jab tabiyat kisii pe aatii hai
maut ke din qariib hote haiN

mujh se milnaa, phir aapkaa milnaa
aap kis ko nasiib hote haiN

zulm sah kar jo uf nahiiN karte
unke dil bhii ajiib hote haiN

ishq meN aur kuchh nahiiN miltaa
saikDoN Gam nasiib hote haiN

nuuH kii qadr koii kyaa jaane
kahiiN aise adiib hote haiN

Nuh Narwi

Popular Posts