BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Monday, May 28, 2007

Sahir Ludhianvi's Nazm: Tum chali jaogi, parchhaiyan rah jaayengi...


Sahir Ludhianvi attained fame as a poet and also reached the pinnacle of commercial success with his lyrics for Bollywood movies.

Read his Nazm:

तुम चली जाओगी, परछाईयाँ रह जायेंगी
कुछ न कुछ हुस्न की रानाइयां रह जायेंगी

तुम तो इस झील के साहिल पे मिली हो मुझ से
जब भी देखूंगा यहीं मुझ को नज़र आओगी
याद मिटती है न मंज़र कोई मिट सकता है
दूर जाकर भी तुम अपने को यहीं पाओगी

खुल के रह जायेगी झोंकों में बदन की खुश्बू
ज़ुल्फ़ का अक्स घटाओं में रहेगा सदियों
फूल चुपके से चुरा लेंगे लबों की सुर्खी
यह जवान हुस्न फ़िज़ाओं में रहेगा सदियों

इस धड़कती हुई शादाब-ओ-हसीं वादी में
यह न समझो कि ज़रा देर का किस्सा हो तुम
अब हमेशा के लिए मेरे मुकद्दर की तरह
इन नजारों के मुकद्दर का भी हिस्सा हो तुम

तुम चली जाओगी परछाईयाँ रह जायेंगी
कुछ न कुछ हुस्न की रानाईयां रह जायेंगी

साहिर लुधियानवी

Now read in Roman script:

tum chalii jaaogii, parchhaaiiyaaN rah jaayengii
kuchh na kuchh husn kii raanaaiyaaN rah jaayengii

tum to is jhiil ke saahil pe milii ho mujh se 
jab bhii dekhungaa yahiiN mujh ko nazar aaogii
yaad miTtii hai na manzar koii miT saktaa hai
duur jaakar bhii tum apne ko yahiiN paaogii

khul ke rah jaayegii jhonKoN meN badan kii Khushbuu
zulf kaa aks ghaTaaoN meN rahegaa sadiyoN
phuul chupke se churaa leNge laboN ki surKhii
yah javaaN husn fizaaoN meN rahegaa sadiyoN

is dhaDaktii huii shaadaab-o-hasiiN vaadii meN
yah na samjho ki zaraa der ka qissa ho tum
ab hamesha ke liye mere muqaddar kii tarah
in nazaaroN ke muqaddar kaa bhii hissaa ho tum

tum chalii jaaogii parchhaaiyaaN rah jaayengii
kuchh na kuchh husn kii raanaaiiyaaN rah jaayengii

Sahir Ludhianwi

Popular Posts