Bashir Badr's ghazal: Laal, Pili, Sabz, Nili Auratein!
Bashir Badr is a prominent Urdu poet hailing from Meerut. He is currently based in Bhopal. Badr was also chairman of the Madhya Pradesh Urdu Academy.
A policeman, he had switches to literature quite early in his life. He is considered an established poet though he has courted controversies. One of the reasons for his popularity is also because of publication of his poetry in Hindi script.
Read his ghazal:
सुबह का झरना, हमेशा हंसने वाली औरतें
झूटपुटे की नदियां, ख़मोश गहरी औरतें
सड़कों बाज़ारों मकानों दफ्तरों में रात दिन
लाल पीली सब्ज़ नीली, जलती बुझती औरतें
शहर में एक बाग़ है और बाग़ में तालाब है
तैरती हैं उसमें सातों रंग वाली औरतें
सैकड़ों ऎसी दुकानें हैं जहाँ मिल जायेंगी
धात की, पत्थर की, शीशे की, रबर की औरतें
इनके अन्दर पक रहा है वक़्त का आतिश-फिशान
किं पहाड़ों को ढके हैं बर्फ़ जैसी औरतें
बशीर बद्र
Now read the ghazal in Roman English script:
subah ka jharnaa, hameshaa hansne vaalii aurateN
jhuTpuTe ki nadiyaaN, khamosh gahrii aurateN
saRakoN baazaaroN makaanoN daftaroN meN raat din
laal piilii sabz niilii, jaltii bujhtii aurateN
shahar meN ek baaGh hai aur baaGh meN taalaab hai
tairtii haiN usmeN satoN rang vaali aurateN
saikRoN aisii dukaaneN haiN jahaaN mil jaayengii
dhaat kii, patthar kii, shiishe kii, rabar kii aurateN
inke andar pak rahaa hai vaqt kaa aatish-fishaaN
kin pahaaRoN ko Dhake haiN barf jaisii aurateN
Bashir Badar