BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Tuesday, February 06, 2007

Meer Taqi Meer's ghazal: Un neem-baaz aankhon mein saari masti sharaab ki hai...


Meer Taqi Meer [1723-1810] is considered Khuda-e-Sukhan or God of Urdu poetry. He is the first of three great Urdu poets that include Mirza Ghalib and Iqbal.

Read his ghazal:

हस्ती अपनी हुबाब की सी है
यह नुमाईश सराब की सी है

नाज़ुकी उस के लब की क्या कहिए
पंखुड़ी एक गुलाब की सी है

बार बार उसके दर पे जाता हूं
हालत अब इज़्तिराब की सी है

मैं जो बोला कहा कि यह आवाज़!
उसी ख़ाना-ख़राब की सी है

मीर उन नीम-बाज़ आंखों में
सारी मस्ती शराब की सी है

मीर तक़ी मीर

[saraab=mirage]
[hubab=bubble]



Read Roman transliteration:


hastii apnii hubaab kii sii hai
yeh numaa’ish saraab kii sii hai


nazukii uske lab ki kyaa kahiye
pankhuRi ek gulaab kii sii hai



baar baar uske dar pe jaataa huuN
haalat ab iztiraab kii sii hai

maiN jo bolaa to kahaa ki yeh aavaaz
usii Khaana-Kharaab kii sii hai

meer un neem-baaz aaNkhoN meN
saarii mastii sharaab kii sii hai


Meer Taqi Meer

Popular Posts