BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Tuesday, January 02, 2007

Munir Niazi's Nazm: Hamesha der kar deta hun maiN.....


Munir Niazi [1928-2006] was one of the leading Urdu poets in contemporary Urdu shayri, especially, in Pakistan. He wrote ghazals as well as Nazms. This is one of the most well-known verses.

Read it in Urdu, Roman and Devnagari scripts here:

हमेशा देर कर देता हूं मैं हर काम करने में
ज़रूरी बात कहनी हो कोई, कोई वा'अदा निभाना हो
उसे आवाज़ देनी हो, उसे वापस बुलाना हो
हमेशा देर कर देता हूं मैं...

मदद करनी हो उसकी, यार की ढारस बंधाना हो
बोहत देरीना रस्तों पर किसी से मिलने जाना हो
हमेशा देर कर देता हूं मैं...

बदलते मौसमों की सैर में दिल को लगाना हो
किसी को याद रख्नना हो, किसी को भूल जाना हो
हमेशा देर कर देता हूं मैं...

किसी को मौत से पहले किसी ग़म से बचाना हो
हक़ीक़त और थी कुछ उस को जा के यह बताना हो
हमेशा देर कर देता हूं मैं हर काम करने में...

मुनीर नियाज़ी

Now read the Roman transliteration:

hameshaa der kar detaa huuN maiN
zaruurii baat kahnii ho
koii vaadaa nibhaanaa ho
use aavaaz denii ho
use vaapas bulaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN main
madad karanii ho usakii
yaar kii dhaaDas baNdhaanaa ho
bahut deriinaa raastoN par
kisii se milne jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN maiN
badalate mausamoN kii sair meN
dil ko lagaanaa ho
kisii ko yaad rakhanaa ho
kisii ko bhuul jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN maiN
kisii ko maut se pahale
kisii Gam se bachaanaa ho
haqiiqat aur thii kuchh
us ko jaa ke ye bataanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN maiN

Munir Niazi 

Popular Posts